kaise kaise dil-nashin khwabon ke manzar le gaya meri aankhon se koi ninden chura kar le gaya aaj wo yaadon ki dastawez jhuti ho gai koi is basti ke naqshe se mera ghar le gaya chandni raaton se wabasta thin bazm-araiyan chand kya duba ki yaadon ka muqaddar le gaya muddaton se hain udanen ek hi manzar mein qaid noch kar jab se wo meri soch ke par le gaya aainon se dur wasf-e-aina-dari ko 'shan' log kahte hain ki koi aaina-gar le gaya