pahlu talash kar gham-e-jaanan nae nae deta hai roz dard ke saman nae nae khushiyan nai nai si hain arman nae nae phir zindagi ko mil gae unwan nae nae shah dil ko mil gai hai phir un ki nigah se phir shauq dhundhta hai dil-o-jaan nae nae phir mahw-e-intizar hain taza qayamaten phir bas rahe hain shahr-e-nigaran nae nae phir dard ki faza mein safar hai khayal ka phir wajd mein hain dasht-o-bayaban nae nae phir odh kar chali hai hawas ishq ki rida phir badh gae fareb ke imkan nae nae ai 'shan' inqilab-e-zamana ki hain dalil ye uljhanen ye khwab-e-pareshan nae nae