kaise kaise is duniya mein bhes bana kar aae log

kaise kaise is duniya mein bhes bana kar aae log
ab pahchane hi nahin jate apne aur parae log

gham ka bojh uthate kab tak aakhir rahat pane ko
aur kahan jate wo uth kar mai-khane mein aae log

khelna chaho tum bhi khelo lekin itna yaad rahe
khun ki holi khel ke aksar duniya mein pachhtae log

be-maqsad bhi ban jate hain afsane is duniya mein
dushman ho jate hain aksar apne hi hamsae log

un ka jaur wahi hai ab tak un ka taur wahi ab tak
haal hamara dekh ke ab to 'rahbar' sab ghabrae log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close