ji tarasta hai muskurane ko aag lag jae is zamane ko ahl-e-duniya ne khel samjha hai is zamane mein dil lagane ko kash aisa bhi ek din hota aap sunte mere fasane ko ye rawish hai to khud chaman wale khak kar denge aashiyane ko ja-e-hairat hai kyon jahan wale tul dete hain har fasane ko har qadam par hain tana-o-dushnam yaad rakkhenge hum zamane ko ji rahe hain bas ab to ai 'rahbar' doston ke fareb khane ko