kaise kaise mile din ko sae hamein raat ne bhed sare batae hamein raaz-e-hasti to kya khul sakega kabhi mil gae the magar kuchh kinae hamein gard hain karwan-e-guzishta ki hum kya ab aankhon pe koi bithae hamein sari dil-dariyan dekh kar soe hain ab na zanhaar koi jagae hamein naz jin se hamare na uth pae the aaj le ja rahe hain uthae hamein dhup mein zindagi ki jale hain bahut le chalo dosto sae sae hamein ek nawa thi fazaon mein gum ho gai hum yahin hain magar kaun pae hamein chal diye the 'muhib' chhod kar naw tum dubte dam bahut yaad aae hamein