umiden mit gain ab ham-nafas kya nasheman ki khushi ranj-e-qafas kya basar kanton mein ho jab zindagani bahaar-e-khanda-e-gul yak-nafas kya meri diwangi kyun badh rahi hai bahaar aai chaman mein ham-nafas kya na ho jab rang-e-azadi chaman mein to phir andesha-e-qaid-e-qafas kya bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad chaman ujda koi phir ham-nafas kya