kaise kate qasida-go harf-garon ke darmiyan koi to sar-kashida ho itne saron ke darmiyan ek to sham rang rang phir mere khwab rang rang aag si hai lagi hui mere paron ke darmiyan hath liye hain hath mein phir bhi nazar hai ghat mein ham-safaron ki khair ho ham-safaron ke darmiyan ab jo chale to ye khula shahr kushada ho gaya badh gae aur fasle ghar se gharon ke darmiyan kaise udun main kya udun jab koi kashmakash si ho mere hi bazuon mein aur mere paron ke darmiyan jam-e-sifal-o-jam-e-jam kuchh bhi to hum na ban sake aur bikhar bikhar gae kuza-garon ke darmiyan jaise luta tha 'shauq' mein yunhi mata-e-fan luti ahl-e-nazar ke samne dida-waron ke darmiyan