kyun khud-bakhud phiri nigah-e-yar kya sabab kyun sar-nigun hai aabru-e-kham-dar kya sabab qismat palat gai ki nasiba ulat gaya kyun khud-bakhud phiri nigah-e-yar kiya sabab kya aa gaya qarib zamana visal ka kyun be-qarar hai ye dil-e-zar kya sabab taqat kahan se aa gai is na-tawan mein aaj dam todta jo hai dil-e-bimar kya sabab kis se ladi nigah ye kis par itab hai hote hain band rauzan-e-diwar kya sabab furqat ki raat roz-e-qayamat kahin na ho hoti nahin jo subh-e-shab-e-tar kya sabab 'anjum' gae the un ko sunane ki waste phir haal-e-dil kiya jo na izhaar kya sabab