kaise katenge shab-e-gham ko sahar hone tak hum pe kya guzregi ye marka sar hone tak koi sauda-e-mohabbat ka kharidar na tha ghar ghar aawara phira hai mere sar hone tak sar-e-sauda-zada zindan ki haqiqat kya hai dam na lena kabhi diwar ke dar hone tak dar kisi ka nahin sari shab-e-gham apni hai khub ro le dil-e-nakaam sahar hone tak jal gaya soz-e-mohabbat se mera khun-e-jigar is ko rahne na diya lal-o-gohar hone tak aah-e-sozan se nai dasht mein aai hai bahaar dhum thi ghol ki tufan-e-sharar hone tak koi ikhfa-e-gham-e-ishq ki surat na rahi aansu bahte rahe daman mera tar hone tak iztirab-e-nigah-e-shauq hua mane-e-did jalwa poshida raha tab-e-nazar hone tak danish-e-sirr-e-haqiqat thi isi par mauquf be-khabar ho gae hum apni khabar hone tak hai abhi se hamein aadab-e-mohabbat ka khayal nam kar jaenge umar apni basar hone tak tum ko 'shakir' hai abas dad-e-sukhan ki ummid kaun duniya mein rahe qadr-e-hunar hone tak