khinch lai panw ki zanjir zindan ki taraf

khinch lai panw ki zanjir zindan ki taraf
warna ghar se hum to nikle the bayaban ki taraf

phir nahin paltin nigahen chashm-e-hairan ki taraf
dekhte hi rah gae hum ru-e-jaanan ki taraf

kaun kahta hai ki hum hain rah se bhatke hue
jo qadam uthta hai uthta hai bayaban ki taraf

koi samjhe ya na samjhe ishq ke asrar ko
hum ishaara kar gae hain dard-e-pinhan ki taraf

na-mukammal si nazar aati hai taufiq-e-junun
ruk gae hain hath badh kar jeb-o-daman ki taraf

dekhiye hoti hai kis din phir tajalli ki numud
dekhta rahta hun husn-e-jalwa-saman ki taraf

ab khuda par hai bharosa hum ko apni naw ka
le chala hai nakhuda girdab o tufan ki taraf

ye kamal-e-jazba-e-zauq-e-khalish to dekhiye
khud-bakhud khinchta chala nashtar rag-e-jaan ki taraf

rah gae kya aashiyan mein aur kuchh tinke abhi
kaundti hain bijliyan ab tak gulistan ki taraf

zindagi thi ek rah-e-dushwar jis par chal pade
kya qadam uthta hamara rah-e-asan ki taraf

gardish-e-ayyam se ye intishaar-e-dahr kya
dekhta hun main teri zulf-e-pareshan ki taraf

kya fareb-e-wada ka un ko na tha pahle khayal
dhyan hi jata nahin ab ahd-o-paiman ki taraf

'shakir'-e-nadan hai dard-e-ishq hi se zindagi
dekh marne ke liye ja tu na darman ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close