kaise pitam ke nayan ram hua karte the

kaise pitam ke nayan ram hua karte the
wo jo radha thi to hum sham hua karte the

dil ke sab zakhm tere nam hua karte the
wo yunhi shahr mein badnam hua karte the

jin charaghon pe hain ab tohmaten be-nuri ki
wo hawaon mein sar-e-baam hua karte the

aao phir hijr-e-musalsal ki ruton mein dhunden
kaba-e-dil mein jo asnam hua karte the

mausam-e-qaht mein aankhon se chhalak jate hain
chand qatre jo tah-e-jam hua karte the

ab to guzre hue lamhe bhi bhula baithe hain
warna hum sahib-e-ilham hua karte the

ab jo aaghaz-e-mohabbat se gurezan hain wo log
be-niyaz-e-gham-e-anjam hua karte the

ajnabi ban ke jo milte hain 'razi' rahon mein
un ko hum se bhi kabhi kaam hua karte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close