kaise ruk sakta tha jo kar-e-ziyan hone ko tha yani sab kuchh tai-shuda tha jo yahan hone ko tha kuchh badan ke the taqaze kuchh shararat dil ki thi aaj lekin ishq apna jawedan hone ko tha han wahi jo shakhs mujh se bughz rakhta hai bahut raat meri zat par wo meherban hone ko tha main ne hi alfaz mein us ko muqayyad kar liya warna wo lamha to kal hi raegan hone ko tha main ne kal ishkal sare khatm us ke kar diye warna meri zat se wo bad-guman hone ko tha