khabar kuchh nahin mujh ko mera anjam kya hoga wahi hoga jo hathon ki lakiron mein likha hoga tamasha jo dikhana tha wahi sab ko dikha aae nahin is se gharaz koi kisi ne kya kaha hoga ek aisa waqt bhi aaega is daur-e-ta'alluq mein hamare aur us ke darmiyan ek fasla hoga abhi se dhup ki shiddat se khaif hain jahan wale sawa-neze pe jis din aa gaya suraj to kya hoga suno ab harf-giri ka nahin hai faeda kuchh bhi ki jo tum ne kaha hoga wahi hum ne suna hoga