kaisi aashufta-sari hai ab ke

kaisi aashufta-sari hai ab ke
kuchh ajab be-khabari hai ab ke

dekh kar ahl-e-gulistan ka chalan
jaan hathon mein dhari hai ab ke

shahr ka amn-o-sukun hai anqa
kaisi ye fitnagari hai ab ke

mausam-e-fasl-e-khizan hai phir bhi
shakh-e-dil apni hari hai ab ke

kor chashmon ko khuda hi samjhe
dawa-e-dida-wari hai ab ke

dar yahi hai ki kahin tut na jae
shakh phulon se bhari hai ab ke

pichhle salon se ziyaada ai 'shauq'
ranj-e-be-baal-o-pari hai ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close