kuchh hunar aur samajhte hain na fan jaante hain

kuchh hunar aur samajhte hain na fan jaante hain
hum tere zikr ko shayan-e-sukhan jaante hain

ruh ki ghayat-e-ulwi ka na ho andaza
hum magar maqsad-e-takhliq-e-badan jaante hain

istiare hain tere aariz-o-chashm-o-lab ke
ye hadis-e-gul-o-shahla-o-saman jaante hain

ye alag baat nahin aai zamana-sazi
hum magar khub zamane ka chalan jaante hain

raqs zanjir ke aahang pe hota hai siwa
ramz lekin ye kahan zamzama-zan jaante hain

baghban bhi hai tasarruf mein sharik-e-gulchin
is haqiqat ko koi ahl-e-chaman jaante hain

lafz-o-takhil ko jo kar na sake ham-ahang
'shaukat' us shakhs ko hum farigh-e-fan jaante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close