kaisi chali hawa ki ghata gham ki chha gai raushan tha ek charagh mohabbat bujha gai kya jaane us ke dar pe kyon itna sukun tha wahshat ke bawajud mujhe nind aa gai muddat se apne aap mein bikhra hua tha main duniya mere wajud mein kaise sama gai apnon ke darmiyan bhi ghutan se lagi mujhe rishton ki justuju ye kahan le ke aa gai jab tak ki sar hamara raha raushni rahi neze pe us ke baad udasi si chha gai kal tak to ehtijaj tumhaare lahu mein tha yaro ye kaise duniya tumhein ras aa gai hairat se dekhti rahi mujh ko zamin 'qamar' mitti ko meri arsh pe le kar hawa gai