kaisi dil pe ye ho gain ghaten subh se pahle sham ke baad kaun kare ab raaz ki baaten subh se pahle sham ke baad zehn-e-pareshan ke aangan mein kya kya phul khilate hain khwab ke manzar hijr ki raaten subh se pahle sham ke baad aaj bhi yaad ke dasht ka daman kyon gila kar jati hain aankh se ashkon ki barsaten subh se pahle sham ke baad dil ki gali mein aaj bhi koi shor-e-rabab-o-chang nahin guzrengi khamosh baraaten subh se pahle sham ke baad zikr-e-lab-o-rukhsar mein aksar din to guzar jate hain 'jamil' kab katti hain ye hijr ki raaten subh se pahle sham ke baad