sab zar-parast the sar-e-bazar bik gae wo qimaten badhin ki kharidar bik gae ek dusre ki hirs ne andha bana diya zebaish-e-makan mein ghar-bar bik gae bhadki ba-faiz-e-muflisi jab aatish-e-shikam do rotiyon mein logon ke pindar bik gae achchhon ko is jahan mein koi puchhta nahin sab parsa khade hain gunahgar bik gae hum muflison ke pas to bikne ka hai jawaz 'arif' batao kis liye zardar bik gae