jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana ai baad-e-saba meri karwat to badal jaana pa-laghz-e-mohabbat se mushkil hai sanbhal jaana us rukh ki safai par is dil ka phisal jaana sine mein jo dil tadpa dhar hi to diya dekha phir bhul gaya kaisa main hath ka phal jaana itna to na ghabrao rahat yahin farmao ghar mein mere rah jao aaj aur bhi kal jaana ai dil wo jo yan aaya kya kya hamein tarsaya tu ne kahin sikhlaya qabu se nikal jaana kya aise se dawa ho mahshar mein ki main ne to nazzara-e-qatil ko ehsan-e-ajal jaana hai zulm karam jitna tha farq pada kitna mushkil hai mizaj itna ek bar badal jaana huron ki sana-khwani waiz yun hi kab mani le aa ki hai nadani baaton mein bahal jaana ishq un ki bala jaane aashiq hon to pahchane lo mujh ko atibba ne saude ka khalal jaana kya baaten banata hai wo jaan jalata hai pani mein dikhata hai kafur ka jal jaana matlab hai ki waslat mein hai bul-hawas aafat mein is garmi-e-sohbat mein ai dil na pighal jaana dam lene ki taqat hai bimar-e-mohabbat hai itna bhi ghanimat hai 'momin' ka sambhal jaana