kaisi haqiqat aur ye kaisa majaz hai

kaisi haqiqat aur ye kaisa majaz hai
parde mein aaine ke khud aaina-saz hai

khaliq se khalq hai ki hai khaliq hi khalq khud
parde mein raaz hai ki ye parda hi raaz hai

phans kar qafas mein zat ke rota hai zar-zar
mutthi mein naunihaal ki hasti ka raaz hai

zahid khuda mile na ruku’-o-sujud se
warzish bhale hi khub ye teri namaz hai

rahmat na ho kharid kabhi parsai se
kis darja na-murad tu ai pak-baz hai

nala-e-dil hai jis ko tu samjhe sada-e-saz
kab dard-e-nau ko samjha tu ai nai-nawaz hai

haq to misal-e-aina hota hai be-zaban
baatil ke pas goya zaban-e-daraaz hai

har harf ga raha hai tarannum mein jhum kar
barbat hai ye koi ki 'sada' ki bayaz hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close