kabhi lagta hai zarre ke barabar hai bisat apni

kabhi lagta hai zarre ke barabar hai bisat apni
kabhi mahsus hota hai ki hai kul kaenat apni

kabhi lagta hai hum kaunain ki wus'at ka hain hissa
kabhi bas ek tan mein hi simat jati hai zat apni

kabhi lagta hai mehnat se muqaddar hai badal sakta
kabhi lagta hai hum lae hain qismat apne sath apni

kabhi guzra hua har pal ghanimat hai hamein lagta
kabhi lagta hai zaya kar rahe hain hum hayat apni

kabhi lagta hai chain aa jaega jab maut aaegi
kabhi lagta hai mar kar bhi na ho shayad najat apni

lage kyon dar uqubat ka bharosa hai agar hum ko
wahi hai dawar-e-mahshar hai dori jis ke hath apni

bade betab hain jud kar bikhar kar chain len shayad
bani hai jin anasir ke 'sada' milne se zat apni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close