kaisi mahfil mein ai dil tujh ko laya hun dekh zara main ne tere aish karae ab tu mere aish kara lagta hai ye naseh bhi hai jin ki tarah ki koi chiz yak dam aa dhamkega kahin se junhi main ne jam bhara gadi ki raftar bhi tez hai rasta bhi hai na-hamwar dhire dhire shant hua hun pahle to main bahut dara apni mahaarat par tujh ko beja to na hoga itna man main bhi man hi lunga tujh ko lekin khel ke mujhe hara apne haal-e-zabun ka main taqdir pe dharta tha ilzam ab malum hua 'basir' ye sab hai tera kiya-dhara