kaisi nazron se takte ho tum bhi na phir anjaan se ban jate ho tum bhi na wasl ki khwahish se labrez tumhaara dil phir bhi jaane ka kahte ho tum bhi na jazbon ka tufan chhupa hai sine mein lekin phir bhi chup rahte ho tum bhi na dil ki baat labon par le aate ho tum lekin baat badal dete ho tum bhi na shaera hone par tum mere khush nahin par dil hi dil mein khush hote ho tum bhi na jaane wala aa nahin sakta pata bhi hai phir bhi rasta dekh rahe ho tum bhi na andar ka pighlaw aankh se bah nikla lekin patthar bane hue ho tum bhi na