kya bataun ke mere waste kya kya tum ho

kya bataun ke mere waste kya kya tum ho
meri ghazlen meri nazmen mera lahja tum ho

duniya walon se talluq nahin rakkha main ne
mujh ko duniya se gharaz kya meri duniya tum ho

tum ko is darja aqidat se padha hai jaise
aasmanon se jo utra wo sahifa tum ho

tum na hote to meri zist kathin ho jati
mere jiwan ke andhere mein ujala tum ho

kyun masihaon se marham ki talab ho mujh ko
sach to ye hai mere zakhmon ka mudawa tum ho

meri shohrat ka wasila hai tumhaari nisbat
meri pahchan ho tum mera hawala tum ho

apni taqdir ke likkhe pe hai iman mera
mere hamdam meri taqdir ka likkha tum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close