kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal

kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal
zindagi mein kuchh kami hai aaj-kal

chand ki aawargi se chandni
sog mein dubi hui hai aaj-kal

chal banaen aashiyan us par hum
raat mujh se kah rahi hai aaj-kal

kya sabab hai dhup hai sahmi hui
pattharon par bhi nami hai aaj-kal

tadpannon mein hain ghazab bechainiyan
deta is had tishnagi hai aaj-kal

ji raha hun maut ki khwahish liye
zist meri didani hai aaj-kal

wo sharafat jo kabhi anmol thi
kaudiyon mein bik rahi hai aaj-kal

zulmaton ka daur bhi ye kab talak
raushni bhi mar rahi hai aaj-kal

zist ki majburiyan mat puchhiye
sath mere chal rahi hai aaj-kal

aa rahi hai phir chunaw ki khabar
shahr bhar mein khamushi hai aaj-kal

kaun ab waqif hai apne aap se
aadmi kab aadmi hai aaj-kal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close