dikhata kya hai ye tuti hui kaman mujhe tera shikar hun achchhi tarah se jaan mujhe hawa ne ret ki surat zamin pe likh di hai dikhai deti hai patthar ki dastan mujhe ek aasman ne zamin par gira diya lekin zamin ne phir se bana dala aasman mujhe main is hawa ka nahin paniyon ka qaidi hun na jaane kyun liye phirta hai baadban mujhe zamin se sirf jazira dikhai deta hai koi na jaan saka aaj tak chatan mujhe na jaane tir ki manind kaise chubhne laga wo shakhs lagta tha tuti hui kaman mujhe