kal ek shakhs jo achchhe-bhale libas mein tha barahna aaj wo utra hua gilas mein tha hum aaftab-e-darakhshan jise samajhte the wo ek wahm ka jugnu hawas ki ghas mein tha zamin-o-arsh ki taqsim ke zamane mein bashar asir-e-junun tha kahan hawas mein tha azal se pahle hi dhun thi husul-e-paikar ki ye kaenat ka khaka mere qayas mein tha main kya sulagte samundar se mangta pani wo khud bhi ek zamane se gharq pyas mein tha use nasib kafan bhi nahin hua aakhir ki hisse-dar jo us khet ki kapas mein tha hum us sawal ka ab tak jawab de na sake jo ek 'figar' ki pur-ashk chashm-e-yas mein tha