chashm-e-hasin mein hai na rukh-e-fitna-gar mein hai duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai ab kya khabar ki dil mein hai kya kya jigar mein hai ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai iman rakh ke kya karun farsuda chiz hai masti mujhe qubul ki teri nazar mein hai nasur dard-e-zakhm tapish soz-o-iztirab saman sau tarah ka dil-e-mukhtasar mein hai hazir hai us ke waste jis ko ho aarzu han ek lahu ki bund meri chashm-e-tar mein hai qismat se mil gai hai ye bedari-e-hayat is ishq ke nisar ki duniya nazar mein hai mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib ek rabt-e-daimi meri sham-o-sahar mein hai hairat se dekhiye na mere sajda-ha-e-shauq ye aastan kuchh aur hi meri nazar mein hai baqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale dil mein khayal-e-baada hai saghar nazar mein hai achchhi mili hai mujh ko ye diwangi-e-shauq duniya ka har khayal dil-e-be-khabar mein hai do qatra-ha-e-khun sar-e-mizhgan hain muntazir 'bahzad' do-jahan ka tamasha nazar mein hai