kal gae the tum jise bimar-e-hijran chhod kar chal basa wo aaj sab hasti ka saman chhod kar tifl-e-ashk aisa gira daman-e-mizhgan chhod kar phir na uttha kucha-e-chaak-e-gareban chhod kar kyunki nikle tera us ka dil mein paikan chhod kar jae baize ko kahan ye murgh-e-parran chhod kar jis ne ho lazzat uthai zakhm tegh-e-ishq ki kab wo marham-dan ko dhunde namak-dan chhod kar said-e-dil ko kyunki chhode jab ki dikhla de na tu machhliyan dast-e-hinai mein meri jaan chhod kar sard-mehri se kisi ki aage hi ji sard hai yan se hat ja dhup ai abr-e-khiraman chhod kar dekhiye kya ho ki hai ab jaan ke pichhe padi dil ko ai kafir teri zulf-e-pareshan chhod kar ai dil us ke tir ke hamrah sine se nikal warna pachhtaega tu ye sath nadan chhod kar kyun na ram kar jaen aahu aise wahshi se tere sher bhagen jis ke nalon se nistan chhod kar surkhi-e-pan dekh le zahid jo dandan par tere uth khada ho hath se tasbih-e-marjaan chhod kar pesh-khema le ke nikla gard-baad-e-dur-rau hai jo sargarm-e-safar tan ko meri jaan chhod kar gar khuda dewe qanaat mah-e-do-hafta ki tarah daude sari ko kabhi aadhi na insan chhod kar saghar-e-dil bechta aaya hun kho mat hath se cukta hai kyun ye jins-e-dast-gardan chhod kar kaam ye tera hi tha rahmat ho ai abr-e-karam warna jae dagh-e-isyan mera daman chhod kar padh ghazal ai 'zauq' koi garm si ab to na ja jaanib-e-mazmun tarz-e-tufta-jaanan chhod kar