ye but jo hum ne dobara bana ke rakkha hai isi ne hum ko tamasha bana ke rakkha hai wo kis tarah hamein inam se nawazega wo jis ne hathon ko kasa bana ke rakkha hai yahan pe koi bachane tumhein na aaega samundaron ne jazira bana ke rakkha hai tamam umr ka hasil hai ye hunar mera ki main ne shishe ko hira bana ke rakkha hai kise kise abhi sajda-guzar hona hai amir-e-shahr ne khata bana ke rakkha hai main bach gaya to yaqinan ye moajiza hoga sabhi ne mujh ko nishana bana ke rakkha hai koi bata de ye suraj ko ja ke hum ne bhi shajar ko dhup mein chhata bana ke rakkha hai