kal jo ghaflat mein paDe the aaj wo hushiyar hain

kal jo ghaflat mein pade the aaj wo hushiyar hain
ek hum hi so rahe hain aur sab bedar hain

jaeza len waqt ka mahaul pe rakkhen nazar
fikr-o-fan se kaam len hum aaj ke fankar hain

chand sikkon ke ewaz jo bech dete hain zamir
aise hi kam-zarf duniya mein zalil-o-khwar hain

ye to mustaqbil bataega tumhein ahl-e-chaman
tum chaman-zaron ke waris ho ki hum haqdar hain

kaam le hosh-o-khirad se ai amir-e-karwan
har qadam par rahzan hain manzilen dushwar hain

waqt ke jhute khuda hum ko jhuka sakte nahin
azm-e-rasikh ki qasam hum bhi bahut khuddar hain

tum ne 'zakir' us se jab tark-e-talluq kar liya
ye shikayat bhi abas hai ye gile bekar hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close