kal jo rukh-e-araq-fishan yar ne tuk dikha diya pani chhidak ke khwab se fitne ko phir jaga diya us ke sharar-e-husn ne shoala jo ek dikha diya tur ko sar se panw tak phunk diya jala diya phir ke nigah chaar-su thahri usi ke ru-ba-ru us ne to meri chashm ko qibla-numa bana diya mera aur us ka ikhtilat ho gaya misl-e-abr-o-barq us ne mujhe rula diya main ne use hansa diya main hun patang kaghzi dor hai us ke hath mein chaha idhar ghata diya chaha udhar badha diya teshe ki kya majal thi ye jo tarashe be-sutun tha wo tamam dil ka zor jis ne pahad dha diya guzre jo su-e-khanqah wan bhi ba-shakl-e-jaanmaz ahl-e-salah-o-zuhd ko farsh kiya bichha diya nikle jo rah-e-dair se ek hi nigah-e-mast mein gabr ka sabr kho diya but ko bhi but bana diya shikwa hamara hai baja muft-baron se kis liye hum ne to apna dil diya hum ko kisi ne kya diya sun ke hamare haal ka yar ne ek sukhan 'nazir' hans ke kaha ki bas ji bas tum ne to sar phira diya