ye tamam ghuncha-o-gul main hansun to muskuraen kabhi yak-ba-yak jo ro dun to sitare tut jaen mere dagh-e-dil ki tabish jo kabhi ye dekh paen wahin rashk-e-be-aman se mah-o-mehr dub jaen kabhi zauq-e-justuju par agar eatibar kar lun sar-e-rah manzilen khud mujhe dhundne ko aaen kabhi be-qarar ho kar jo main saz-e-ishq chhedun to ye mushtari-o-zohra koi git phir na gaen mera zauq mai-parasti hai kuchh is qadar mukammal jo main jam-e-mai utha lun to baras paden ghataen sar-e-mai-kada jo dekhen meri mai-kashi ka manzar hon shuyukh sar-ba-sajda kare zahid iltijaen