kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae ji mein tha kuchh kahiye lekin aah dar kar rah gae jab na kuchh bas chal saka apna to phir hasrat se hae dekh kar munh ko tere ek aah bhar kar rah gae sar bahut patka qafas mein apna hum ne ham-safir kui na pahuncha dad ko fariyaad kar kar rah gae nama-bar ki ya kabutar ki ki dil ki rakhiye aas apne to yan se gae jo wan wo mar kar rah gae kal kisi ka zikr-e-khair aaya tha majlis mein 'hasan' is dil-e-betab par hum hath dhar kar rah gae