shuur o hosh o khirad ka moamla hai ajib maqam-e-shauq mein hain sab dil o nazar ke raqib main jaanta hun jamaat ka hashr kya hoga masail-e-nazari mein ulajh gaya hai khatib agarche mere nasheman ka kar raha hai tawaf meri nawa mein nahin tair-e-chaman ka nasib suna hai main ne sukhan-ras hai turk-e-usmani sunae kaun use 'iqbaal' ka ye sher-e-gharib samajh rahe hain wo europe ko ham-jawar apna sitare jin ke nasheman se hain ziyaada qarib