kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha main jis ko dhundhta tha mere aaine mein tha jis ki nigah mein thin sitaron ki manzilen wo mir-e-kaenat usi qafile mein tha rahgir sun rahe the ye kis jashn-e-nau ka shor kal raat mera zikr ye kis silsile mein tha raqsan the rind jaise bhanwar mein shafaq ke phul jo panw pad raha tha bade qaede mein tha chhidka jise adam ke samundar pe aap ne sahra tamam khak ke us bulbule mein tha mannat-guzar-e-ahl-e-hawas ho saka na dil hail mera zamir mere raste mein tha hai farz is ata-e-junun ka bhi shukriya lekin ye be-shumar karam kis sile mein tha ab aa ke kah rahe ho ki ruswai se daro ye baal to kabhi ka mere aaine mein tha sunta hun sar-nigun the farishte mere huzur main jaane apni zat ke kis marhale mein tha hain sabt mere dil pe zamane ki thokaren main ek sang-e-rah tha jis raste mein tha kuchh bhi na tha azal mein ba-juz shoala-e-wajud han dur tak adam ka dhuan hashiye mein tha main ne jo apna nam pukara to hans pada ye mujh sa kaun shakhs mere raste mein tha thi nuqta-e-nigah tak aazadi-e-amal parkar ki tarah main rawan daere mein tha zanjir ki sada thi na mauj-e-shamim-e-zulf ye kya tilism un ke mere fasle mein tha ab ruh e'tiraf-e-badan se hai munharif ek ye bhi sang-e-mil mere raste mein tha 'danish' kai nasheb-e-nazar se guzar gae har rind aaine ki tarah mai-kade mein tha