kal raat sehn-e-dil mein tha harjaiyon ka raqs

kal raat sehn-e-dil mein tha harjaiyon ka raqs
thi wahshaton ki thap pachhal-paiyon ka raqs

manzum ho rahi thi khamoshi ba-faiz-e-hijr
tha zehn mein huruf ki parchhaiyon ka raqs

us ki khushi manaun ya afsos na karun
hai shohraton ke saz pe ruswaiyon ka raqs

ye wo zamana hai nahin jis ki koi misal
yan bhaiyon ke qatl pe hai bhaiyon ka raqs

shab bhar ada-e-husn ko tuk dekhta raha
main us khiram-e-naz ki angdaiyon ka raqs

andar tha mere wasl ka bistar laga hua
kamre mein thak ke chur tha tanhaiyon ka raqs

main mahw-e-guftugu tha tumhaari nazar ke sath
aur mere ird-gard tha binaiyon ka raqs

kuchh baat thi jo bazm mein tanha khada tha main
haalanki chaar-su tha shanasaiyon ka raqs


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close