har chand rahguzar thi dushwar qafiye ki sun kar na rah sake hum lalkar qafiye ki din ka sukun ghaarat raaton ki nind ghaeb sar par latak rahi hai talwar qafiye ki hum is ko bandhte kya jakda hai is ne hum ko ab dekhte hain surat na-chaar qafiye ki is aas par ki shayad ho jae tang hum par karte rahe khushamad aghyar qafiye ki taza hawa chali aur ek lahar dil mein utthi roke na ruk saki phir yalghaar qafiye ki paya suragh-e-mazmun gahe radif mein bhi lazim na thi samajat har bar qafiye ki dasht-e-khayal mein phir kya kya khule manazir kuchh der ko hati thi diwar qafiye ki jab sher ka safina bahr-e-ghazal mein dola us waqt kaam aai patwar qafiye ki maghrib ki ho kahani ya mashriqi riwayat unchi rahi hamesha dastar qafiye ki kuchh sher kaam ke bhi is mein nikale hum ne wo kahte the zamin hai be-kar qafiye ki phir aur koi naghma bhae na us ko 'basir' jo ek bar sun le jhankar qafiye ki