kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par

kal raat wo jhagadti rahi baat baat par
aur main kitab likhta raha kaenat par

kya sochiye ki soch se aage hai zindagi
pahre laga rakhe hain kisi ne hayat par

kya dastan sunaiye us ke visal ki
kya tabsira kare koi sahra ki raat par

shayad meri ana mere lahje pe hai muhit
shak ho raha hai us ko mere iltifat par

tere baghair lagta hai goya ye zindagi
tanqid kar rahi hai meri khwahishat par

phir us ne meri khu mein mujhe qaid kar diya
ek khwab sa lapet diya meri zat par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close