kal sin be-kal hai mera ji yar kun dekha na tha kyun na howe betab dil dildar kun dekha na tha hai baja gar howe ghazal-khwan misl-e-bulbul dil mera nau-bahaar-e-gulshan-e-didar kun dekha na tha kyunki howe zahid-e-khud-bin murid-e-zulf-e-yar us ne sari umr mein zunnar kun dekha na tha ab mushabbak ho gaya us tir-e-mizhgan ke tufail jis dil-e-nazuk ne nok-e-khar kun dekha na tha abru-e-pur-chin kun tere dekh dil hairan hua kya magar shamshir-e-jauhar-dar kun dekha na tha sina-e-guldar mera us kun aaya hai pasand yar ne shayad kabhi gulzar kun dekha na tha dekh ashk-e-garm kun mere kaha us ne 'siraj' main kabhi is abr-e-atish-bar kun dekha na tha