kal tak jo intizar tha wo bhi nahin raha ek hi to mera yar tha wo bhi nahin raha thoda bahut jo pyar tha wo bhi nahin raha ek shakhs be-qarar tha wo bhi nahin raha jine ki ek umid thi wo bhi nahin rahi jis dard se qarar tha wo bhi nahin raha aisi chali hawaen ki sab kuchh bikhar gaya ek ped saya-dar tha wo bhi nahin raha afsane ki siyahi se sab kuchh badal diya khwabon pe ikhtiyar tha wo bhi nahin raha jo mausamon ki tarah badalta tha rangaten aur aamad-e-bahaar tha wo bhi nahin raha hota tha apne beach mohabbat ka len-den barakat ka karobar tha wo bhi nahin raha pyasi bahut thi hasraten lo aaj mar gain barish ka intizar tha wo bhi nahin raha 'arman' wo khayal meri jaedad tha is fikr mein nikhaar tha wo bhi nahin raha