kal to tere khwabon ne mujh par yun arzani ki sari hasrat nikal gai meri tan-asani ki pada hua hun sham se main usi bagh-e-taza mein mujh mein shakh nikal aai hai raat ki rani ki is chaupal ke pas ek budha bargad hota tha ek alamat gum hai yahan se meri kahani ki tum ne kuchh padh kar phunka mitti ke pyale mein ya mitti mein gundhi hui tasir hai pani ki kya batlaun tum ko tum tak arz guzarne mein dil ne apne aap se kitni khincha-tani ki