khak chhani na kisi dasht mein wahshat ki hai main ne ek shakhs se ujrat pe mohabbat ki hai khud ko dhutkar diya main ne to is duniya ne meri auqat se badh kar meri izzat ki hai ji mein aata hai meri mujh se mulaqat na ho baat milne ki nahin baat tabiat ki hai ab bhi thodi si mere dil mein padi hai shayad zard si dhup jo diwar se rukhsat ki hai aaj ji bhar ke tujhe dekha to mahsus hua aankh ne sura-e-yusuf ki tilawat ki hai haal puchha hai mera ponchhe hain aansu mere shukriya tum ne mere dard mein shirkat ki hai