kal us ke chehre ko hum ne jo aaftab likha to us ne padh ke wo nama bahut itab likha jabin ko mah jo likha to kaha ho chin-ba-jabin ye kaisi us ki samajh thi jo mahtab likha chamakte danton ko gauhar likha to hans ke kaha sitare ud gae the jo dur-e-khush-ab likha likha jo mushk-e-khata zulf ko to bal kha kar kaha khata ki jo ye harf-e-na-sawab likha gulab araq ko likha to ye bola nak chadha use na itr mayassar tha jo gulab likha jigar kabab likha apna to kaha jal kar bhala ji kya main sharabi tha jo kabab likha hisab-e-shauq ka daftar likha to jhunjhla kar kaha main kya mutasaddi tha jo hisab likha jo be-hisab likha ishtiyaq-e-dil to kaha wo kis hisab mein hai ye bhi be-hisab likha hue jo radd-o-badal aise kitne bar nazir to us ne khat ka hamare na phir jawab likha