zauq-e-gunah o azm-e-pasheman liye hue kya kya hunar hain hazrat-e-insan liye hue kufr o khirad ko ras na aaegi zindagi jab tak junun hai mishal-e-insan liye hue hun un ke samne magar un par nazar nahin sai-e-talab hai azm-e-gurezan liye hue dil ko sukun-e-pasti-e-sahil se kya gharaz har azm hai bulandi-e-tufan liye hue gulshan ke dil mein aaj bhi mahfuz hain wo phul murjha gae jo dagh-e-bahaaran liye hue aa hi gae wo arz-e-nadamat ko ai 'shakil' lalin labon pe khanda-e-giryan liye hue