kal yunhi tera tazkira nikla phir to baaton ka silsila nikla gham hi taqdir ka likha nikla jis ko chaha wo bewafa nikla ishq mein bhi siyasaten dekhin qurbaton mein bhi fasla nikla apna chehra hi mo'atabar paya jhuta har ek aaina nikla gham-e-dauran ka tajziya jo kiya tera mera moamla nikla aa gai darmiyan jab duniya phir na koi bhi rasta nikla sare aazar hain 'matin' wahi shahr bhi dasht-e-karbala nikla