kale kapde nahin pahne hain to itna kar le ek zara der ko kamre mein andhera kar le ab mujhe par utar jaane de aisa kar le warna jo aae samajh mein teri dariya kar le khud-ba-khud rasta de dega ye tufan mujhe tujh ko pane ka agar dil ye irada kar le aaj ka kaam tujhe aaj hi karna hoga kal jo karna hai to phir aaj taqaza kar le ab bade logon se achchhai ki ummid na kar kaise mumkin hai karaila koi mitha kar le gar kabhi rona hi pad jae to itna rona aa ke barsat tere samne tauba kar le muddaton baad wo aaega hamare ghar mein phir se ai dil kisi ummid ko zinda kar le ham-safar laila bhi hogi main tabhi jaunga mujh pe jitne bhi sitam karne hon sahra kar le