shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin han magar ashk jab umde the chhupae to nahin teri mahfil ke bhi aadab ki dil darta hai meri aankhon ne durr-e-ashk lutae to nahin chhan li khak bayabanon ki viranon ki phir bhi andaz-e-junun aql ne pae to nahin lakh pur-wahshat o pur-haul sahi sham-e-firaq hum ne ghabra ke diye din se jalae to nahin ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki wo na bulae na sahi dil se bhulae to nahin hijr ki raat ye har dubte tare ne kaha hum na kahte the na aaenge wo aae to nahin inqilab aate hain rahte hain jahan mein lekin jo banane ka na ho ahl mitae to nahin apni is shokhi-e-raftar ka anjam na soch fitne khud uthne lage tu ne uthae to nahin