kali kali ko diya baghban lahu humne

kali kali ko diya baghban lahu hum ne
kiya hai tujh ko gulistan mein surkh-ru hum ne

khuda ke waste us be-wafa ka nam na lo
kiya hai chaak-e-gareban abhi rafu hum ne

khizan ke dagh mite kab gulon ke daman se
tujhe bhi dekh liya mausam-e-numu hum ne

khamosh rah ke tere tund-o-talkh lahje par
badal diya tera andaz-e-guftugu hum ne

chaman ka rang nikharta hai jis ke partaw se
bikher di wo tajalli bhi chaar-su hum ne

samajh na pae wo ab tak qubul-o-rad kaisa
ajib rang mein ki sharh-e-arzu hum ne

'nasir' kham hai ab bhi khayal tauba ka
fuzul tod diye saghar-o-subu hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close