na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe khud apne bagh ke phulon se dar lage hai mujhe ajib dard ka rishta hai sari duniya mein kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe main ek jam hun kis kis ke hont tak pahunchun ghazab ki pyas liye har bashar lage hai mujhe tarash leta hun us se bhi aaine 'manzur' kisi ke hath ka patthar agar lage hai mujhe